Ham sabhi ek se jyada sim card use karte honge . Bahut se purane number yaad bhi nahi , naye number lete gaye purane number bhulte gaye . Lekin Ab ek swal ham sabhi ke man me jarur aata hai. Ki mere naam par kitni sim Registreer hai.
Agar aap idea , airtel , vodafone , reliance , aircel , docomo , sim ka upyog karte hai. To apne naam pe ese kitni sim hai. Ye pata karne ki koi subidha abhi tak nahi aaya hai . Lekin agar aap janana chahte hai . Ki mere naam par kitna jio sim hai. To ye aap bahut asani se pata kar sakte hai.
Sabhi jio number adhar card se active kiye gaye hai. Esiliye aap bahut asaNi se pata kar sakte hai. Ki mere aadhar card se kitni jio sim Activate hai. Yo chaliye janate hai , Aapne naam par kitne sim hai ye janane ke tarike .
Jab jio lonch huwa to sim card lene ki hod si mach gayi thi. Log kisi Bhi kimat par ye sim card lena chahte the. Ese me asani se adhar card ka galat istamal kiya jaa sakta hai.
Aaj jio sim adhar number or biomaterials details dene ke baad hi milta hai. Ese me apko jarur pata karna chahiye . Ki aapke naam kitni sim hai ? Eske liye es post me apko do asan tarika bataunga , to chaliye shuru karte hai.
Adhar card se kitne sim hai . Ye pata karne ka pahla tarika
1. My Jio App
Apne naam pe kisi sim hai ye pata karne ke liye Aap my jio app ki madad le sakte hai. Ye bahut asan tarika hai. Or bas 2 mint me pata laga sakte ho. Sabse pahle apne mobile my jio Android app download kar lijiye. Yaa phir Hamare diye gaye link par click karke bhi aap My jio App ko download kar skate hai.
Agar aapne pahle se hi download kiya huwa hai. To Apdet kar lijiye. Aapka my jio app apdeted hai. To chaliye sabse pahle ese open kiJiye .
My jio app open karne par outmetic sign in hokar aapka account khul jayega . Agar outmetc sign in naa ho. To simple aap sign in with sim karke account open kar skate hai. Aab sabse uper my jio ka wiklap par Tap karna hai.
Agale step me link a new account ka opsan aayega . Jese niche screenshot me dikhya gya hai. Es par tap kijiye .
Jese hi link a new account par tap karenge . Aapke aadhar number se activate huye sabhi jio sim ki last aa jayega. Niche screenshot ki trah
Es trah my jio app ke dwara asani se pata kar skate hai , ki mere aadhar id se kitni jio sim activities hai . To aab dusre tarike ke baare me jaante hai.
Apne naam par kitni sim hai , Ye check karne ka dusra tarika ये चेक
2. Customer care – 198
Jio ke customer care number 198 par call karna hai. Uske baad customer care adhikar ko bolna hai. Ki aap janana chahte hai. Ki mere adhar number se kitne jio sim active hai.
Eske baad customer career adhikarI ke dwara aapse adhar number manga jayega . Inhe aapna aadhar number de dena hai. Phir verify karke aapko bata denge ki aapke naam par yaani aapke aadhar number se or kitne jio sim liye gaye.
Es trah my jio app or jio customer Care number ke dwara pata kar skate hai. Ki mere naam se kitne jio sim hai. Jo aapke aadhar number se activity koye gaye hai. Agar aapne naam pe sim pata karne me apko kisi trah ki koi preshani aaye to comment me bataye.
Adhar card par aapka sim kitna chal raha hai. Kese pata kare?
Dosto same wahi tarika hai. Apko apne mobile me Airtel thanks app download karna hai. Or same wahi tarika hai. Apko apne aadhar card se details nikalne ke liye .
2 Airtel customer care number 198 - Par apko call karna hai. Yaa phir 1935 par aap call karke customer ke dwara bhi aap pata kar sakte hai.
Apne naam par kitne sim hai yah janane ke liye 4 tarike
Dgtelecom Website se jaane ki aapke naam par kitne sim chalu hai.
Uidai ki website se pata kare ki aap ke aadhar card par kitne sim chal rahe. To chaliye shuru karte hai. Or janate hai. Ki aadhar card par kitne sim chal rahe hai. Yah kese pata kare. How to check how many SIM cards are linked with my Aadhaar card? Sabse pahle ham janege ki aapke naam se kitne sim hai. Or uske baad ham janege ki uidai website se kese pata kare. Ki mere aadhar card se kitne sim chalu hai.
Dgtelecom ki official website se pata kare aapke aadhar card se kitne sim card registered kiye gaye . Department of Telecom ne ek portal jaari kiya hai. Or us TAFCON TAFCOP (Telecom Analytics for fraud management and consumer protection) Hai.
Jab aadhar card se farji sim card active karane ke mamale bahut badhne lage to eski janakari lene ke liye Government ne es portal ko lonch kiya hai. Es portal ke jariye aap yah pata kar sakte hai ki aapke naam se kitne sim card chalu hai.
To sabse pahle https://www.tafcop.dgtelecom.gov.in website Par jaye?
Aapna mobile number enter kare. Aapna mobile number dalne ke baad Request OTP waale Button par click kare.
Eske baad aapke mobile number par ek OTP aayega. Next page me aapko jo OTP mila use daale.
OTP dalne me baad aapko ek list dekhegi . Us list me yah jankari mil jayegi. Ki aapke naam par kitne sim chalu hai. Kitne number registere kiye gaye hai. Agar list me koi esa number hai jiska upyog nahi kar rahe hai. Or naahi aapne esa koi number registere kiya hai. To aap use yaha se block bhi kar skate hai.
Bas aapko itna hi karna hai uper diye steps ko follow kare or pata lagaye ki aadhar card par kitne sim active hai. Hamne aapko tisra tarika to bata diya to chaliye aab ham apko 4 tarika bhi batate hai.
Aadhaar authentication history
Sabse pahle aadhar ki official websitehttps://resident.uidai.gov.in/ aadhaar-auth-history par jaaye , Yaha par diye gaye link se aap us page par jaa skate hai.
Yaha par aapko apna 12 anko ka aadhar number dalna hai. Or security code dalna hai. Security code matalb uske niche diye gaye photo me jo likha hai. Use hi type karna hai. Yah ek trah ka captcha verification hai.
Uske baad ek naya page open hoga . Us page me aapko Authentication type me all ko select karna hai , phir aapko start date or end date select karni hai. Matlab ki aap kis tarik se lekar kis tarik tak janakari lena chahte hai. Wo number of records me aap 50 tak koi bhi number set kar skate hai.
Aap 10 bhi type kar skate hai. Anth me aapko OTP dalna hai. OTP aapke mobile number par bhej diya gya hota hai.
Saari jankari enter karne ke baad verify OTP par click kare.Eske baad apko aapke aadhar card se judi sabhi janakari mil jayegi. Jese ki aapke aadhar card par kitne sim hai. Aapne kahi par OTP Verification kiya hoga to wo bhi yaha par dekhai dega .
To dosto ye jankari aapKo kese lage or agar aap jo jankari chahiye tha. Wo to apko mil gya leKin agar aapke man me koi sawal hai. To aap comment box me puch sakte hai.
Or ese hi amazing fects ko lagatar padhne ke liye hamare blogg verma news ko subscribe jarur kare.
To aaj ke liye itna hi ab ham chalte hai. Phir milenge new post ke sath tab tak hamare blogg ke ant tak bane rahne ke liye aap sabhi logo ko verma news teem dil se swagat karta hai.
सिम किसके नाम है कैसे पता करें?
मेरी आईडी पर कितने नंबर चल रहे हैं?
आधार पर कितने सिम है?
सिम कार्ड का दूसरा नाम क्या है?
UIDAI
सिम कार्ड नंबर डिटेल्स ऑनलाइन इंडिया
सिम किसके नाम से है
Aadhaar Authentication history
गाड़ी नंबर सर्च नाम
Aadhar card se kitne sim chalu hai kaise pata kare
Aadhaar authentication history
Aadhar service
My Aadhar
uidai.gov.in up
Aadhar card download
आधार कार्ड मोबाइल नंबर चेक
DoT SIM check
uidai.gov.in aadhar
No comments:
Write comment