Agar aap ek Engineer ya Science Graduate hain aur Defence sector me kaam karna chahte hain, to DRDO (Defence Research & Development Organisation) ne aapke liye ek badi opportunity nikali hai. DRDO ke Recruitment & Assessment Centre (RAC) ne Scientist ‘B’ ke 148 padon ke liye notification jari kiya hai. Ye vacancies DRDO, ADA (Aeronautical Development Agency) aur Ministry of Defence ke kuch aur departments me hain.
Total Vacancies: 148
- DRDO Scientist B : 127 Posts
- ADA (Bengaluru) : 09 Posts
- Encadred Posts (CME, AFMC, etc.) : 12 Posts
Engineering Discipline-wise Vacancies (Main Highlights)
- Electronics & Communication Engg : DRDO – 35, ADA – 03
- Mechanical Engg : DRDO – 33, ADA – 01
- Computer Science : DRDO – 29, ADA – 03
- Electrical Engg : DRDO – 06
- Civil, Chemical, Aerospace, Materials Engg, etc. me bhi kuch-kuch vacancies available hain.
- Kuch posts Psychology, Clinical Psychology, Mathematics aur Entomology jaise Science subjects me bhi hain.
Eligibility Criteria
1. Education
- Engineering disciplines ke liye: First Class Bachelor’s Degree in Engineering/Technology in relevant field.
- Science subjects ke liye: First Class Master’s Degree.
- Final year students bhi apply kar sakte hain, lekin 31 July 2025 tak unka degree certificate aa jana chahiye.
2. GATE Score
- Valid GATE score hona mandatory hai. Jo GATE paper aapne diya hai, wo aapke relevant discipline ke hisab se match hona chahiye.
3. Age Limit (as on 04 July 2025)
- UR/EWS: Max 35 years
- OBC (NCL): Max 38 years
- SC/ST: Max 40 years
- Divyang candidates ke liye 10 years tak ka relaxation available hai.
Selection Process
1. Shortlisting via GATE Score
- Candidates ko unke GATE score ke basis par shortlist kiya jayega (1:10 ratio me).
2. Personal Interview
- Shortlisted candidates ko interview ke liye bulaya jayega.
- Final selection me GATE score ka 80% aur Interview ka 20% weightage hoga.
- Qualifying marks: UR – 70%, Others – 60%
3. Medical Test & Document Verification
- Final selection ke baad aapka medical examination aur original documents ki checking bhi hogi.
Salary & Benefits
- Pay Level : Level-10 (as per 7th CPC)
- Basic Pay : ₹56,100/-
- Total Monthly Salary : Lagbhag ₹1,00,000/- (HRA + allowances ke sath)
Application Process Kaise Apply Karein?
1. Step 1 : Visit karein RAC ki official website – [https://rac.gov.in]
2. Step 2 : Registration karein aur login karke form bharein.
3. Step 3 : Required documents upload karein –
DOB Proof, Degree, GATE scorecard, Category certificate (if applicable), Photo, Signature, etc.
4.Step 4 : Application form final submit karne se pehle dhyan se review karein aur usse lock karein.
5.Step 5 : Final application form ka PDF download karke apne paas rakh lein.
Application Fee
- General/OBC/EWS (Male) : ₹100/-
- SC/ST/PWD/Women : No Fee
Important Dates
- Start Date : 14 June 2025
- Last Date to Apply : 04 July 2025
- Final Year Students ke Documents Submit Karne ki Last Date : 31 July 2025
- Interview Dates : RAC ki website par update kiya jayega
👉 Important Tip : Form bharte waqt GATE score ko carefully fill karein. Galat score ya discipline select karne se form reject ho sakta hai. Aur application form submit karne ke baad usme changes allowed nahi honge.
DRDO me Scientist B banna sirf ek job nahi, balki desh ki suraksha ke liye kaam karne ka ek proudful opportunity hai. Agar aapke paas required qualification hai to zarur apply karein. Yeh ek sarkari naukri hai jisme career growth ke kai options available hain.
Apply Link : [https://rac.gov.in]
Notification PDF : RAC website par uplabdh hai.
No comments:
Write comment