Monday, June 30, 2025

Mizoram University Recruitment 2025 Non-Teaching Posts

By:   Last Updated: in: ,


Mizoram University (MZU) ne saal 2025 ke liye ek badi bharti ka elan kiya hai. Is bharti mein Group A, B aur C ke Non-Teaching pad bhare jaayenge. Agar aap Sarkari Naukri ki talash mein hain toh yeh aapke liye ek behtar avsar ho sakta hai. Kul 51 pad Mizoram University aur Pachhunga University College mein nikale gaye hain. Jo bhi candidates interested hain, woh 17 July 2025, shaam 5 baje tak online form bhar sakte hain

Mizoram University Recruitment 2025: 51 Non-Teaching Posts

Bharti Sangathan Ki Jankari

  • Sansthan ka naam: Mizoram University (MZU)
  • Location: Aizawl, Mizoram
  • Kul Pad: 51
  • Pad ke prakar: Group A, B & C (Non-Teaching)
  • Aavedan ki antim tareekh: 17 July 2025

Padon Ka Vibhajan

Mizoram University (MZU) ke liye

Jaise Public Relation Officer, Section Officer, Security Officer, Private Secretary, Personal Assistant, Stenographer, UDC, LDC, Library Assistant, Laboratory Assistant, Laboratory Attendant, Coach, Driver, Cook aur MTS ke pad hain.

Total MZU Pads: 35

Pachhunga University College (PUC) ke liye:

Yahan Assistant, Professional Assistant, Semi Professional Assistant, Electrician, Cook, Library Attendant, Laboratory Attendant, Bus Conductor aur MTS ke pad nikle hain.

Total PUC Pads: 16

Yogyata aur Anubhav

Har pad ke liye alag alag qualification aur experience jaruri hai. Jaise:

  • Public Relation Officer: Journalism & Mass Communication mein Master’s degree aur kam se kam 5 saal ka anubhav.
  • Section Officer: Graduation aur 3 saal ka Assistant ke roop mein kaam ka anubhav.
  • Security Officer: Graduation + 5 saal ka Security Supervisor ka anubhav ya Army se retire hone par JCO level ya uske barabar.
  • Steno, Clerk aur MTS: Minimum 10th ya Graduation + Computer proficiency aur Typing/ Steno speed.

Baaki sabhi padon ki detail yogyata official notification mein di gayi hai. Har candidate ko form bharne se pehle sab kuch dhyan se check kar lena chahiye.

Aayu Seema

  • Group A ke liye: Maximum 40 saal
  • Group B ke liye: Maximum 35 saal
  • Group C ke liye: Maximum 32 saal

Age relaxation SC/ST/OBC/PWD candidates ke liye Bharat Sarkar ke niyamon ke anusaar milegi.

Salary Kitni Milegi?

Salary 7th CPC pay matrix ke anusaar milegi:

  • Public Relation Officer: Level 10
  • Section Officer, Security Officer, Private Secretary: Level 7
  • Assistant, Professional Assistant, Coach: Level 6
  • Semi Professional Assistant: Level 5
  • Steno, UDC, Library Assistant, Lab Assistant: Level 4
  • LDC, Driver, Cook: Level 2
  • Library Attendant, Lab Attendant, MTS, Bus Conductor: Level 1

Iske alawa DA, HRA, TA aur anya benefits bhi milenge.

Selection Process

Selection mein likhit pariksha, skill test/trade test aur interview ho sakta hai. Jaise LDC ya Steno ke liye typing aur stenography test mandatory hoga. Har stage ke baad document verification bhi hoga.

Important Dates

Event                     Date                   

Notification                           13 June 2025          

Online Apply Start        13 June 2025 (11:00 AM)

Last Date                         17 July 2025 (5:00 PM) 

Application Fees

 Group       General/OBC       SC/ST/EWS

Group A                  ₹500                      ₹250     

Group B & C           ₹200                       ₹100     

Mahilayein aur PWD candidates ko kisi bhi prakar ki fees nahi deni hogi.

Kaise Karein Online Apply?

1. Official Portal visit karein: MZU Samarth Recruitment Portal.

2. Registration karein: Naam, email, mobile dal kar register ho jaayein.

3. Form bharein: Login kar ke details bharein aur documents upload karein.

4. Fees bharein: Debit/Credit Card ya Net Banking se.

5. Final Submit karein: Form ko dhyan se check karke final submit karein.

6. Print Out nikalein: Submit hone ke baad print out zarur nikaalein.

Important Links

Apply Link 

 [ Apply Online Link ]

[ Official Website ]

Tip: Form bharne mein deri na karein, aakhri tareekh se pehle hi complete kar lein. Be

st of luck

No comments:
Write comment