Agar aap Bharat ki shaan, Indian Air Force ka hissa banne ka sapna dekh rahe ho, toh yeh golden mauka aapke liye hai! IAF ne Group ‘Y’ (Non-Technical) Medical Assistant Trade ke liye fresh bharti ki ghoshna ki hai. Ye bharti 02/2026 intake ke liye hai aur online registration 11th July 2025 se start ho raha hai.
Bhartiya Vayu Sena Mein Career Kyun?
Indian Air Force sirf ek naukri nahi balki ek sammaan aur garv bhara career hai. Yahan aapko sirf salary nahi, balki excellent facilities, respect aur ek disciplined life milti hai. Desh seva aur apne air warriors ki sehat ka dhyaan rakhte hue aap apna bhi future secure kar sakte ho.
Bharti Ki Jankari
- Sangathan ka Naam: Indian Air Force (IAF)
- Post: Airmen Group ‘Y’ (Non-Technical) Medical Assistant
- Intake: 02/2026
- Apply Mode: Online
- Job Location: All India
- Kaun Apply Kar Sakta Hai: Male Indian citizens aur Gorkha (Nepal ke subject)
Eligibility Criteria
Qualification:
1️⃣ 10+2 (Science) ke Candidates ke liye:
- Physics, Chemistry, Biology aur English subjects ke saath 10+2 pass hona chahiye kisi recognized Board se.
- Aggregate mein minimum 50% marks aur English mein bhi 50% marks compulsory hai.
- Ya phir, 2 saal ka Vocational Course bhi chalega agar usmein Physics, Chemistry, Biology aur English ho aur 50% marks ho.
2️⃣ Diploma/B.Sc Pharmacy wale:
- 10+2 PCB & English mein 50% marks hone chahiye.
- Saat hi Pharmacy mein Diploma ya B.Sc degree ho with 50% marks.
- State Pharmacy Council ya PCI se valid registration mandatory hai.
Age Limit (Enrolment ke samay tak)
- 10+2 Candidates: Unmarried aur 02 July 2005 se 02 July 2009 ke beech janme hone chahiye. Max age: 21 years.
Diploma/B.Sc Pharmacy:
- Unmarried: 02 July 2002 – 02 July 2007
- Married: 02 July 2002 – 02 July 2005
- Max age: 24 years.
Medical aur Physical Standards
- Height: Min 152.5 cm
- Chest: 77 cm (5 cm expand)
- Weight: Age aur height ke anusaar.
- Hearing: Normal
- Dental: 14 dental points aur healthy teeth.
- Eyesight: 6/36 each eye, correctable to 6/6.
- Tattoos: Visible tattoos allowed nahi except certain conditions.
Important Dates:
Event Date
Registration Start 11th July 2025
Last Date 31st July 2025
Online Exam 25th Sept 2025 se
PSL Display 15th May 2026
Final Enrolment List 01st June 2026
Salary & Benefits:
- Training ke time: ₹14,600/month stipend.
- Training ke baad: Starting gross approx ₹26,900 per month (Basic + MSP).
- Allowances: DA, TA, CPMA, LRA aur kaafi perks.
- Free medical for self & family, CSD facilities, furnished accommodation.
- Children Education Allowance, 60 din annual leave + 30 din casual leave.
- LTC aur ₹52 Lakh ka Group Insurance.
Selection Process:
1️⃣ Phase I – Online Test:
- English (10+2 CBSE syllabus) aur Reasoning & General Awareness (RAGA).
- Duration: 45 mins.
- +1 mark correct answer, -0.25 negative marking.
2️⃣ Phase II – Verification & PFT:
- Document Verification.
- Physical Fitness Test: 1.6 Km run (7 mins / 7.5 mins for Pharmacy), 10 push-ups, 10 sit-ups, 20 squats.
- Adaptability Test-I & II.
3️⃣ Phase III – Medical Test:
- Detailed medical examination by IAF Medical Team.
Kaise Apply Karein
1. Official CASB portal par jaayein.
2. “Airmen Intake 02/2026” link khojein.
3. Valid email ID aur mobile number ke saath register karein.
4. Form fill karein, documents upload karein.
5. Application fee pay karein – ₹550 + GST.
6. Form submit karein aur print lekar future reference ke liye rakkhe.
Official Links:
Notification PDF: \[Download Here]
Apply online ( apply Link )
Ab Der Kis Baat Ki?
Agar aap apne sapno ko pankh lagana chahte hain, toh IAF Airmen Group Y Medical Assistant Bharti 2025 ka hissa zarur banein. Is sarkari naukri se sirf career nahi, ek nayi pahchaan banegi
No comments:
Write comment